ai dil ye hai khilaf-e-rasm-e-wafa-parasti tauba buton ke aage zikr-e-khuda-parasti ek khanjar-e-qaza hai ek nashtar-e-jafa hai wo chashm-e-shokh jo hai mahw-e-haya-parasti dikhlaunga tamasha is aaine mein tum ko subh-e-azal se dil hai mahw-e-safa-parasti zalim ki hai ye koshish is ko kahin mita dun mazlum dil ko mere fikr-e-baqa-parasti kyun saz-o-barg-e-hasti karta hai tu muhayya duniya ko hai azal se zauq-e-fana-parasti lai na mai-kade se wapas 'aziz' tujh ko ye hikmat-o-tasawwuf ye auliya-parasti