ai hawa izn-e-safar de baadban muntazir hain raston ke darmiyan ab nazar mein dasht ki waq’at nahin aankh mein phaila hua hai aasman ab kahan par tolne ki aarzu ab to main hun aur mera aashiyan jag uttha hun magar aankhon mein hai nind ka ehsas khwabon ka dhuan main jahan ke samne phailaun hath aur tu khamosh patthar ki zaban