ai meri zat ke sukun aa ja tham na jae kahin junun aa ja raat se ek soch mein gum hun kis bahane tujhe kahun aa ja hath jis mod par chhudaya tha main wahin par hun sar nigun aa ja yaad hai surkh phul ka tohfa? ho chala wo bhi nil-gun aa ja chand taron se kab talak aakhir teri baaten kiya karun aa ja apni wahshat se khauf aata hai kab se viran hai andarun aa ja is se pahle ki main aziyyat mein apni aaankhon ko noch lun aa ja dekh! main yaad kar rahi hun tujhe phir main ye bhi na kar sakun aa ja