ai shaikh teri pand-o-nasihat se kya hua kambakht chhutta hai kahin dil laga hua sharm-o-haya ko chhodiye burqa uthaiye kab tak rahega chand gahan mein diya hua manga tha bosa aap se le to nahin liya barham ho kyon bataiye nuqsan kya hua dawa hamare dil pe buton ko hai kis liye kya un ke hath baia hua ya hiba hua bosa zarur lenge kisi roz dekhna lab pe hai un ke dant hamara laga hua o but teri khudai ka qissa sunaunga allah se jo hashr ke din samna hua hum ne nigah pher ke dekha jo ghair ko 'kaifi' ke dil se puchhiye anjam kya hua