ai subah main ab kahan raha hun khwabon hi mein sarf ho chuka hun sab mere baghair mutmain hon main sab ke baghair ji raha hun kya hai jo badal gai hai duniya main bhi to bahut badal gaya hun go apne hazar nam rakh lun par apne siwa main aur kya hun main jurm ka e'tiraf kar ke kuchh aur hai jo chhupa gaya hun main aur faqat usi ki khwahish akhlaq mein jhut bolta hun ek shakhs jo mujh se waqt le kar aaj aa na saka to khush hua hun har shakhs se be-niyaz ho ja phir sab se ye kah ki main khuda hun charke to tujhe diye hain main ne par khun bhi main hi thukta hun roya hun to apne doston mein par tujh se to hans ke hi mila hun ai shakhs main teri justuju se bezar nahin hun thak gaya hun main sham-e-sahar ka naghma-gar tha ab thak ke karahne laga hun kal par hi rakho wafa ki baaten main aaj bahut bojha hua hun koi bhi nahin hai mujh se nadim bas tai ye hua ki main bura hun