aisa bhi kya hua hai mere ghar ke samne

aisa bhi kya hua hai mere ghar ke samne
har koi aa khada hai mere ghar ke samne

ye kaun shakhs hai jo dukhon se ladhi hui
gadi laga gaya hai mere ghar ke samne

ek to mujhe bhi pine-pilane ka shauq hai
us par ye mai-kada hai mere ghar ke samne

kya soch kar main niklun tahalne ba-waqt-e-sham
jangal bahut ghana hai mere ghar ke samne

mere nasib mein hi nahin dekhna use
yun to wo rah raha hai mere ghar ke samne

fursat mile to ek mulaqat kijiye
mahfuz ek jagah hai mere ghar ke samne

khairaat de to di hai tujhe ai bhikariyo
ab kis liye ruka hai mere ghar ke samne

'jawed' chal ke dekh kahin khud tu hi nahin
ye jo mara pada hai mere ghar ke samne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close