aisa hoga waisa hoga kya jaanun main kaisa hoga mere samne baith ke ro le mera gham bhi halka hoga tu jo hansna bhul gaya hai tera dil bhi tuta hoga hum donon mein rishta kya hai jag mein us ka charcha hoga tu pardesi tu kya jaane main ne kya kya socha hoga wo hai main hun tanhai hai kaun bhala yun tanha hoga