aisa khamosh to manzar na fana ka hota meri taswir bhi girti to chhanaka hota yun bhi ek bar to hota ki samundar bahta koi ehsas to dariya ki ana ka hota sans mausam ki bhi kuchh der ko chalne lagti koi jhonka teri palkon ki hawa ka hota kanch ke par tere hath nazar aate hain kash khushbu ki tarah rang hina ka hota kyun meri shakl pahan leta hai chhupne ke liye ek chehra koi apna bhi khuda ka hota