aisa lagta hai ki kar dega ab aazad mujhe meri marzi se udane laga sayyaad mujhe main hun sarhad pe bane ek makan ki surat kab talak dekhiye rakhta hai wo aabaad mujhe ek qisse ki tarah wo to mujhe bhul gaya ek kahani ki tarah wo hai magar yaad mujhe kam se kam ye to bata de ki kidhar jaegi kar ke ai khana-kharabi meri barbaad mujhe main samajh jata hun is mein koi kamzori hai mere jis sher pe milti hai bahut dad mujhe