aise jazbaat mein lahje ko na patthar kije

aise jazbaat mein lahje ko na patthar kije
guftugu mujh se zara aap sambhal kar kije

ye na ho aap ki tahrir hi baghi ho jae
zulm itna bhi na qirtas-o-qalam par kije

mujh se ranjish hai to maidan mein aa jaiye aap
meri taswir ke tukde na bahattar kije

mera dawa hai ki haalat badal jaenge
samna aap jo haalat ka dat kar kije

chahte aap hain jo zehn kushada rakhna
bughz-o-nafrat ke khayalat ko bahar kije

dusron par to karam aap ka rahta hai magar
ek nazar meri bhi jaanib mere dilbar kije

baat banti hai mohabbat se bhi aksar 'rahbar'
dil mein paiwast na alfaz ke nashtar kije


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close