ajab tarah ka shab-e-hijr inqalab raha kabhi sukun kabhi dil ko iztirab raha jawab jin ka na tha un mein la-jawab raha kisi ka husn hazaron mein intikhab raha kiya na ahl-e-maasi ka samna dam-e-hashr khuda ke fazl se koson alag itab raha umid did ki niklegi kis tarah dam-e-hashr agar wahan bhi wo jalwa tah-e-naqab raha muhaal hoga zamane ko ek dam bhi sukun agar yunhi dil-e-muztar ka iztirab raha maqam-e-rahat-o-aram go the dair-o-haram kisi jagah na dil-e-khanuman-kharab raha shumar ho na saka hashr mein ye khub hua hamara nama-e-amal be-hisab raha nigah lutf-o-inayat se aashna na hui kisi pe qahr kisi par tera itab raha sawal radd hue 'masud' sab muqaddar se nahin nahin meri har baat ka jawab raha