ajib rut hai ye hijr-o-visal se aage kamal hone laga hai kamal se aage wo ek lamha jo titli sa apne beach mein hai use main le ke chali mah-o-sal se aage koi jawaz ho hamdam ab is rifaqat ka talash kar mujhe mere jamal se aage jawab-e-khwab bhala khwab ke siwa kya hai magar wo nikla nahin hai sawal se aage pighal raha hai mera din siyah raaton mein kahani ghum rahi hai zawal se aage ruke hue hain kinare pe wo talatum hai ye shahr-e-ishq hai aur hai majal se aage masham-e-jaan mein koi dip sa jalae hue nikal chali hun main ranj-o-malal se aage