ajib shai hai tarah-dar bhi tamanna bhi raqib-e-jaan bhi hai qatil bhi hai masiha bhi udas udas harim-e-nigah be-manzar dhuan dhuan khalish-e-raegan se duniya bhi dil-o-dimagh-o-nafas tishnagi se hain raushan isi ki aag mein jalte hain shahar-o-sahra bhi wahi hawa-e-jahan-tab mo'atabar hai ki jo jila ke chhod gai hai charagh-e-farda bhi talab mein mujh se to lamha bhi ek nahin katta isi khumar ne kate hain koh-o-dariya bhi tere khayal se khalwat bhi anjuman hai mujhe tere khayal se hon anjuman mein tanha bhi faza-e-khwab-e-tarab ne jaga diya mujh ko lagi jo aankh to hone laga sawera bhi