aks-e-jaanan meri nigah mein hai husn ab ishq ki panah mein hai tang hai kaenat mere liye itni wusat meri nigah mein hai jitni pur-kaif hai umid-e-karam utni hi dilkashi gunah mein hai lau nikalti hai har-bun-e-mu se soz-e-sad-ah zabt-e-ah mein hai apni manzil ka haal kya jaane wo musafir abhi jo rah mein hai aah ki hi nahin to kya malum kitni tasir meri aah mein hai be-qarari jo thi mere dil mein ab wahi aap ki nigah mein hai dekhte kya hain aap hairat se naqsh-e-pa aap hi ka mah mein hai shaikh sahab kahan chale aae mai-kada kya haram ki rah mein hai adl-gustar zara khayal rahe aadmi teri bargah mein hai sath degi tu ai khirad kab tak teri manzil to meri rah mein hai husn jaisa hai meri duniya mein wo na anjum mein hai na mah mein hai