alam hai soz hai yaaden hain gham hai wahshat hai

alam hai soz hai yaaden hain gham hai wahshat hai
mere nasib mein jo kuchh bhi hai ghanimat hai

jis anjuman mein uthe uth ke qatl-e-am kare
nigah-e-naz ka uthna bhi ek qayamat hai

ye aur baat ki hai husn-e-gham se begana
hayat-e-ishq magar husn ki badaulat hai

zaban se apni to diwana kuchh nahin kahta
zamana dekh ke surat ko mahw-e-hairat hai

dagha fareb hasad jhut aur makkari
jafa ke daur mein insan ki ye hi fitrat hai

tamam umr na hogi khirad-nawazon ki
mere junun ki zamane mein jitni shohrat hai

wo samne ho nazar ke wo arz-e-haal kare
bahut dinon se ye 'adil' ke dil mein hasrat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close