alam ki dhup mein ahbab kaam aaya nahin karte

alam ki dhup mein ahbab kaam aaya nahin karte
ye wo udte hue baadal hain jo saya nahin karte

jigar shaq ho magar lab par fughan laya nahin karte
sharab-e-gham jo pite hain wo lahraya nahin karte

sahega kaun phulon ke siwa jaur-e-khizan aakhir
bahaar-e-husn par kante to itraya nahin karte

nahin manus lab jin se kuchh aisi bhi hain fariyaaden
kuchh aansu hain jo palkon par nazar aaya nahin karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close