allah allah ye kya anjuman-arai hai khud tamasha hai wahi aap tamashai hai dard ko jis ke taraste hain malak aur falak shisha-e-dil mein mere wo mai-e-minai hai aah us tair-e-majbur ki hasrat ko na puchh jo ye sunta ho qafas mein ki bahaar aai hai jis ke jalwe ka farishton ne kiya tha sajda koh-e-faran pe wahi shoala-e-sinai hai tum jo aa jao to is ishq ka parda rah jae warna ab zabt hai baqi na shakebai hai main use khub samajhta hun jo haalat hai meri han magar dil ko wahi dars-e-shakebai hai ho jahan murgh-e-takhayyul ki na parwaz-e-rasa us bulandi pe meri nasiya-farsai hai hai ye 'saqib' usi ek jalwa-e-rangin ka asar mere shisha mein jo kuchh baada-e-minai hai