altaf farz hai sitam-e-na-rawa ke baad mehr-o-wafa bhi chahiye jaur-o-jafa ke baad hoga yahi taraqqi-e-mehr-o-wafa ke baad sau sau balaen aaengi ek ek bala ke baad ye jaante agar to duaen na mangte mayusiyon se sabiqa hoga dua ke baad mahrum-e-did hashr mein bhi kya rahenge hum kya aur din bhi aaega roz-e-jaza ke baad baqi rahi taraqqi-e-roz-e-sitam agar hum zindagi ko yaad karenge qaza ke baad hain munhasir isi pe zamane ki sakhtiyan sadme sahega kaun dil-e-mubtala ke baad anjam zulm-e-ghair-munasib ka ye hua pachhta rahe hain wo sitam-e-na-rawa ke baad ye daghdagha hai aur sabab iztirab ka aaega daur kaunsa ahd-e-wafa ke baad paenge roz-e-hashr ibaadat ka sab sila duna maza mile jo saza ho jaza ke baad jine se na-umid ho kyunkar mariz-e-hijr hai aasra abhi to dua ka dawa ke baad mamnun kyon na hun sitam-e-be-hisab ka qail meri wafa ke hue wo jafa ke baad waiz kalam-e-sakht ka niklega ye maal tarif hum buton ki karenge khuda ke baad tazir-e-dost wajh-e-sukun-e-alam hui 'masud' aur jurm karenge khata ke baad