andhera mere baatin mein pada tha koi mujh ko pukare ja raha tha hum apne aasmanon mein kahin the hamare pichhe koi aa raha tha ufuq sunsan hote ja rahe the sukut-e-wasl ka manzar bhi kya tha chamak kaisi badan se phut nikli hamare hath mein kis ka sira tha sar-e-lams-e-badan jo lazzaten thin khata ke batan mein jo kaif sa tha main sadiyon us taraf tha aur wo mujh ko meri maujudgi mein dekhta tha koi shab dhundti thi mujh ko aur main teri nindon mein ja kar so gaya tha usi ne zulmaten phaila rakhi hain asas-e-khwab par jis ko rakha tha