andhi rahon ki uljhan mein bechaari ghabrai raat

andhi rahon ki uljhan mein bechaari ghabrai raat
pahle lahu mein phir aansu mein phir kirnon mein nahai raat

ek parde ko uth jaana tha ek chehre ko aana tha
kitni hasin thi kitni dilkash sharmai sharmai raat

har shakh-e-gul mein thi ye narmi ghunche tak gir jate the
aaj har ek tahni patthar hai kaisi aandhi lai raat

ek karishma ek dhoka tha ek tahayyur-sazi thi
lekin ek aalam ne ye samjha ki din se takrai raat

ek naya dar ek naya ghar ek naya hangama hai
ek nae rahzan ke ghar ek naya musafir lai raat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close