apna ghar chhod ke hum log wahan tak pahunche subh-e-farda ki kiran bhi na jahan tak pahunche main ne aankhon mein chhupa rakkhe hain kuchh aur charagh raushni subh ki shayad na yahan tak pahunche be-kahe baat samajh lo to munasib hoga is se pahle ki yahi baat zaban tak pahunche tum ne hum jaise musafir bhi na dekhe honge jo bahaaron se chale aur khizan tak pahunche aaj pindar-e-tamanna ka fusun tut gaya chand kam-zarf gile nok-e-zaban tak pahunche