apna khurshid aur apna hi qamar paida kar tu mohabbat ka shajar hai to samar paida kar har bashar tujh ko nazar aane lage apni tarah apne andar tu wo hi qalb-o-nazar paida kar ye to mumkin hi nahin hai wo na chahe tujh ko han magar us ke liye tu bhi jigar paida kar muntazir hoga tere waste 'sahil' ai dost pahle tufan se ladne ka hunar paida kar teri aahen bhi pahunch jaengi rab tak ek din aahon mein apni wo dil-doz asar paida kar raat tarik agar hai to tujhe dar kya hai dagh-e-dil apne jala aur sahar paida kar tu bhi ho jaega mahbub-e-zamana 'sahil' apne andar wo mohabbat ki nazar paida kar