apne hi TuTe hue KHwabon ko dil chunta bhi hai

apne hi tute hue khwabon ko dil chunta bhi hai
rabt ye qaem rahe dhundla bhi hai gahra bhi hai

ek rang-o-nur ki duniya hai mere samne
sochta hun is kharabe mein koi apna bhi hai

phir wahi wahshat hai yaro phir wahi viraniyan
mustaqil is ghar mein aa ke kya koi thahra bhi hai

mujh mein hain makus badle mausamon ki suraten
aaina dil hi nahin hai aaina chehra bhi hai

main andheron ka musafir hun magar ye ilm hai
raat ke zakhmon ka marham subh ka jhonka bhi hai

waqt ne tamir ke jazbon ko kya taswir di
hai pas-e-manzar gulistan samne sahra bhi hai

jagte lamhon ki aankhen kis liye khira huin
nisf shab mein 'sabr' kya suraj kabhi nikla bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close