apne jaise diwanon ki thodi to imdad karun sos raha hun hushyari se pagal-pan ijad karun zarb laga kar aisa chikhun sannate bhi dar jaen lekin pahle aawazen to pinjre se aazad karun patthar khane se achchha hai patthar ko hi toda jae ishq ijazat de to khud ko majnun se farhad karun tu baadal mein pani bhar ke rakh de tapte sahra mein aur main dhup ko saya karke barish ke din yaad karun pahle to main gham ke sare dastawez jalaunga baad mein sochunga main un par roun ya fariyaad karun baadal kitna pagal hai jo mere hijr pe rota hai na main baadal na main pagal kyon aankhen barbaad karun