apne sae se bad-guman kyon hai

apne sae se bad-guman kyon hai
aaj har shakhs be-aman kyon hai

zindagi hai agar pas-e-manzar
manzaron mein dhuan dhuan kyon hai

kya hua aaj khun ke badle
aag dil mein rawan-dawan kyon hai

zindagi bojh hai to jine ka
hausla dil mein naujawan kyon hai

bandagi hai agar batao to
ishq mein is qadar ziyan kyon hai

jab ki main khub-ru nahin phir bhi
aaina mujh se bad-guman kyon hai

muttahid hain agar to phir itna
fasla apne darmiyan kyon hai

zarre zarre mein nur hai us ka
wo ayan hai to phir nihan kyon hai

dil agar gham-zada nahin 'nazim'
ashk aankhon se phir rawan kyon hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close