apni chhalakti aankh ke tare gawah hain ashkon mein dube shab ke nazare gawah hain sukha hai mere jism mein kitna lahu na puchh haalat ke sulagte sharare gawah hain hum ne hi ruh phunki thi dasht-e-khayal mein fitrat ke ye hasin ishaare gawah hain sote hain meri fikr ke ab tak rawan-dawan bahr-e-wajud ke ye kinare gawah hain meri udan taron ke bilkul qarib thi ilm-o-hunar ke sare ghubbare gawah hain 'jami' ne bhi uruj ke dekhe hain roz-o-shab azmat ke wo tamam manare gawah hain