apni farhat ke din ai yar chale aate hain

apni farhat ke din ai yar chale aate hain
kaifiyat par gul-e-rukhsar chale aate hain

pad gai kya nigah-e-mast tere saqi ki
ladkhadate hue mai-khwar chale aate hain

yaad kin nashsha mein dubi hui aankhen kis ki
ghash tujhe ai dil-e-bimar chale aate hain

rah mein sahib-e-iksir khade hain mushtaq
khaksaran-e-dar-e-yar chale aate hain

bagh mein phul hanse dete hain bedardi se
nala-e-murgh-e-giraftar chale aate hain

dekh kar abru-e-khamdar phire yun aashiq
ghul hai khae hue talwar chale aate hain

jis tarah narghe mein chalte hain ghazal-e-sahra
yun teri chashm ke bimar chale aate hain

hun wo be-khud ki ye hai nala-e-sozan pe guman
shoala-e-atish-e-rukhsar chale aate hain

chahiye shor-e-qayamat pae-tazim utthe
aap ke aashiq-e-raftar chale aate hain

shor sunte hain jo hum chaak-garebanon ka
band khole sar-e-bazar chale aate hain

har taraf hashr mein jhankar hai zanjiron ki
un ki zulfon ke giraftar chale aate hain

chal gai tegh-e-nigah aaj 'tashshuq' pe zarur
log us kucha se khun-bar chale aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close