apni ghazal ke tair-e-khun-nab ke liye kuchh zakhm le ke aaya hun ahbab ke liye phir yun hua ki dagh hi hathon mein rah gae rasta bana raha tha main mahtab ke liye muddat se phir raha hun main bazar-e-shauq mein ek lafz ki talash hai aadab ke liye khushbu shabab husn ye dhoka hi ek sahi kuchh to bahana chahiye zahrab ke liye itni to aag dil mein hi jalti hai raat-din jis darja aag chahiye zar-nab ke liye insaniyat ke nam bhi kuchh kar ke dekhiye har kaam lazmi nahin surkhab ke liye 'khalid' hara-bhara wo rahe bhi to kis liye har phul jis shajar ka ho girdab ke liye