apni kitab-e-umr ka anjam likh diya pahle waraq pe main ne tera nam likh diya main likhna chahta tha koi phul si ghazal aur jab likha to sirf tera nam likh diya dil ne tere siwa na koi baat ki qubul sab kuchh ba-nam-e-gardish-e-ayyam likh diya ruswaiyon ke mod pe tanha khada hun main apna gunah sab ne mere nam likh diya hum aise be-gharon ne jahan bhi kiya qayam khat khinch ke wahin pe dar-o-baam likh diya 'masum' mujh ko is ne kiya aaina-mizaj lekin mere nasib mein ilzam likh diya