apni qismat mein gham-e-arsa-e-hijran hai to kya ashk minnat-kash-e-gahwara-e-mizhgan hai to kya husn arbab-e-haqiqat ko hai nazura-e-haq shaikh ji aap ko andesha-e-iman hai to kya waqt ke sath fuzun hota hai ehsas-e-ziyan fahm-o-idrak hi ghaarat-gar-e-insan hai to kya be-muhabana masarrat ke taaqub mein na daud dam-e-nairang pas-e-sarhad-e-imkan hai to kya hum to ek umr se hain muntazir-e-marg-e-khizan ab ke logon mein agar zikr-e-bahaaran hai to kya mausam aata hai to kanton hi mein gul khilte hain dast-e-gul-chin mein agar nazm-e-gulistan hai to kya zer-e-tamir isi haal mein hai mustaqbil is mein kuchh rekht ka pahlu bhi numayan hai to kya