apni ruswai tere nam ka charcha dekhun ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun nind aa jae to kya mahfilen barpa dekhun aankh khul jae to tanhai ka sahra dekhun sham bhi ho gai dhundla gain aankhen bhi meri bhulne wale main kab tak tera rasta dekhun ek ek kar ke mujhe chhod gain sab sakhiyan aaj main khud ko teri yaad mein tanha dekhun kash sandal se meri mang ujale aa kar itne ghairon mein wahi hath jo apna dekhun tu mera kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayat jaane kyun tere liye dil ko dhdakna dekhun band kar ke meri aankhen wo shararat se hanse bujhe jaane ka main har roz tamasha dekhun sab ziden us ki main puri karun har baat sunun ek bachche ki tarah se use hansta dekhun mujh pe chha jae wo barsat ki khushbu ki tarah ang ang apna isi rut mein mahakta dekhun phul ki tarah mere jism ka har lab khul jae pankhudi pankhudi un honton ka saya dekhun main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar khwab ban kar teri aankhon mein utarta dekhun tu meri tarah se yakta hai magar mere habib ji mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhun tut jaen ki pighal jaen mere kachche ghade tujh ko main dekhun ki ye aag ka dariya dekhun