apni talab ka nam dubone kyun jaen mai-khane tak tishna-labi ka ek dariya hai shishe se paimane tak husn o ishq ka soz-e-talluq samton ka paband nahin akasr to khud shama ka shoala badh ke gaya parwane tak rah-e-talab ke pech-o-kham ka andaza aasan nahin ahl-e-khirad kya chiz hain rasta bhul gae diwane tak saqi ko ye khush-fahmi thi hum tak mauj na aaegi pyas ka jab paimana chhalka dub gae mai-khane tak mitti se jab phul khilae kar-e-junun ki mehnat ne shahr kuchh is andaz se phaile ja pahunche virane tak zakhm-e-hunar ka rang salamat sab ko khabar ho jaegi kitne chehre hum ne tarashe hath qalam ho jaane tak is ghurbat ki dhup mein 'shair' apnon ka saya bhi na tha jis ghurbat ki dhup mein hum ko yaad aae begane tak