apni wahshat ke nae zaKHm chhupaun kaise By Ghazal << khoya kya paya kya hisab ... laDkhaDati hawa roz kahti... >> apni wahshat ke nae zakhm chhupaun kaise main teri yaad ki diwar giraun kaise shahr-e-dil mein hai wahi aaj bhi chup ka aalam dar-o-diwar sadaon se sajaun kaise gumbad-e-fikr mein aawazen hi aawazen hain main har aawaz ki taswir banaun kaise Share on: