apnon ne kyon zakhm lagae main bhi sochun tu bhi soch kyon ye aise mausam aae main bhi sochun tu bhi soch dub gaya kyon raushan suraj tariki ke ghaaron mein zulm ke baadal kyon lahrae main bhi sochun tu bhi soch khun de kar gulzar kiya hai gulshan ke har khitte ko amn-o-aman kyon rah na pae main bhi sochun tu bhi soch aankhon ke sab moti dane aaine hain baatin ke ghar ka bhedi lanka dhae main bhi sochun tu bhi soch khushiyon ki ek nar naweli chham-chham nache mahlon mein apne ghar tak kaise aae main bhi sochun tu bhi soch