arsh se rukh jaanib-e-duniya-e-dun karna pada bandagi mein kya se kya ye sar nigun karna pada minnat-e-sahil bhi sar le li bhanwar mein dolte han ye hila bhi hamein bahr-e-sukun karna pada samne us yar ke bhi aur sar-e-darbar bhi ek ye dil tha jise har bar khun karna pada hum ki the ahl-e-safa ye raaz kis par kholte qafile ka sath aakhir tark kyun karna pada kham na ho paya to sar hum ne qalam karwa liya wun na kuchh 'majid' hua hum se to yun karna pada