asar ke pichhe dil-e-hazin ne nishan chhoda na phir kahin ka gae hain nale jo su-e-gardun to ashk ne rukh kiya zamin ka bhali thi taqdir ya buri thi ye raaz kis tarah se ayan ho buton ko sajde kiye hain itne ki mit gaya sab likha jabin ka wahi ladakpan ki shokhiyan hain wo agli hi sahi shararten hain siyane honge to han bhi hogi abhi to san hai nahin nahin ka ye nazm-e-ain ye tarz-e-bandish sukhanwari hai fusun-gari hai ki rekhta mein bhi tere 'shibli' maza hai tarz-e-'ali-hazin' ka