ashaar mein mafhum fasane mein kahani mat dhund ki uljhate hain alfaz-o-maani sad shukr wo tabir se mashrut nahin thin bachpan mein suna karte the jo khwab kahani wo zindagi jo pane aur khone se siwa ho zeb us ko nahin deti kabhi marsiya-khwani fitrat ke taqaze pe na kar rah-e-amal band iqbaal ki ye baat kisi ne bhi na mani takmil-e-junun ab bhi hai is misre se mashrut ai chand mubarak ho tujhe raat suhani khush-haaliyan dehli ki baja aaj bhi lekin yaad aati hai kalkatte ki wo shokh jawani pardes mein bas zehn se aabaad hai 'asim' dil se nahin kar paya kabhi naql-e-makani