ashk aankhon mein chhupa leta hun main gham chhupane ke liye hansta hun main sharm aati thi kabhi tujh se mujhe zindagi ab khud se sharminda hun main muddaton se aaina dekha nahin koi batlae mujhe kaisa hun main gham khushi wahshat pareshani sakun saikdon chehron ka ek chehra hun main hai mujhi mein ham-nafas mera koi sans wo leta hai aur zinda hun main itne khae hain sarabon se fareb samne dariya hai aur pyasa hun main yaad aaya hai mujhe ek ham-safar jab kabhi is rah se guzra hun main chaar jaanib ek sannata sukut ghaaliban basti mein ab tanha hun main mujh ko chhune ka na kar arman 'shajar' to mujhe mahsus kar kaisa hun main