ashk apna ki tumhaara nahin dekha jata abr ki zad mein sitara nahin dekha jata apni shah-e-rag ka lahu tan mein rawan hai jab tak zer-e-khanjar koi pyara nahin dekha jata mauj-dar-mauj ulajhne ki hawas be-mani dubta ho to sahaara nahin dekha jata tere chehre ki kashish thi ki palat kar dekha warna suraj to dobara nahin dekha jata aag ki zid pe na ja phir se bhadak sakti hai rakh ki tah mein sharara nahin dekha jata zakhm aankhon ke bhi sahte the kabhi dil wale ab to abru ka ishaara nahin dekha jata kya qayamat hai ki dil jis ka nagar hai 'mohsin' dil pe us ka bhi ijara nahin dekha jata