ashk ko chain se donon hi ne rahne na diya

ashk ko chain se donon hi ne rahne na diya
gham ne rukne na diya zabt ne bahne na diya

aah bhi gham mein na ki ashk bhi bahne na diya
teri furqat ne mujhe chain se rahne na diya

mere afsane ke har lafz mein ek mahshar tha
wo to achchha hua tum ne mujhe kahne na diya

jis taraf chaha adaon se mujhe mod liya
tum ne ek baat pe qaem mujhe rahne na diya

hum ne tapka diye palkon se khushi ke aansu
phul kanton ki hifazat mein bhi rahne na diya

saqi-e-mast ki sirf ek jhalak hi dekhi
aankh milte hi mujhe hosh mein rahne na diya

wahshat-e-dil mujhe duniya mein liye phirti hai
mere mahbub ne mujh ko kahin rahne na diya

hum ne buniyaad-e-mohabbat jahan rakkhi 'nashtar'
hum ko logon ne wahan chain se rahne na diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close