ashk pine ke liye khak udane ke liye ab mere pas khazana hai lutane ke liye aisi dafa na laga jis mein zamanat mil jae mere kirdar ko chun apne nishane ke liye kin zaminon pe utaroge ab imdad ka qahr kaun sa shahr ujadoge basane ke liye main ne hathon se bujhai hai dahakti hui aag apne bachche ke khilaune ko bachane ke liye ho gai hai meri ujdi hui duniya aabaad main use dhundh raha hun ye batane ke liye nafraten bechne walon ki bhi majburi hai mal to chahiye dukan chalane ke liye ji to kahta hai ki bistar se na utrun kai roz ghar mein saman to ho baith ke khane ke liye