asir-e-bahr-o-bar koi nahin hai jahan mein mukhtasar koi nahin hai hai dhadka sa mere sine mein lekin dar-e-ummid par koi nahin hai mera saya simat aaya hai mujh mein mera ab ham-safar koi nahin hai hawadis bhi wahin hum bhi wahin hain magar ab chashm-e-tar koi nahin hai nazar hi baam par meri nahin ya nazar ke baam par koi nahin hai ba-juz mere yahan meri wafa ka hawala mo'atabar koi nahin hai samajh kar soch kar dil mein utarna yahan bahar ko dar koi nahin hai khirad ke lakh qasid hain to honge junun ka nama-bar koi nahin hai mujhe apnane wale log 'tahir' bahut se hain magar koi nahin hai