asir-e-zindagani main nahin hun

asir-e-zindagani main nahin hun
badan hota hai fani main nahin hun

jahan ki bad-gumani main nahin hun
khud apni khush-bayani main nahin hun

mera dawa nahin hai is khandar par
ye mitti aur pani main nahin hun

agar pate ho mera dakhl khud mein
yahan bas tum ho yani main nahin hun

guman hai bas hansi ho ya ki aansu
ye sukh-dukh ki kahani main nahin hun

hai ek jaisa mera hona na hona
koi raaz-e-nihani main nahin hun

saba-e-marg kya aati hai lene
palat bhi ja diwani main nahin hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close