asiran-e-hawadis ki giran-jaani nahin jati jahan se khun-e-insani ki arzani nahin jati darogh-e-maslahat ke dekh kar aasar chehron par haqiqat-ashna aankhon ki hairani nahin jati nishan-e-khusrawi to mit gae hain lauh-e-alam se kulah-e-khusrawi se bu-e-sultani nahin jati andhera is qadar hai shahr par chhaya siyasat ka kisi bhi shakhs ki ab shakl pahchani nahin jati zamana karbala ka nam sun kar kanp uthta hai abhi tak khun-e-shabbiri ki jaulani nahin jati fuzun-tar aur hote ja rahe hain chaak daman ke rafu-gar se hamari chaak-damani nahin jati ye mana raushni ko pi gai zulmat jihaalat ki magar is zarra-e-khaki ki tabani nahin jati