atlas-o-kamkhab banti thin jo pyari ungliyan waqt ke hathon huin be-nur sari ungliyan hae kis zalim ne de kar luqma-e-tar ka fareb donon hathon ki tarashwa lin hamari ungliyan sang-reze phul ban jate hain jin ke lams se kash hum bhi dekhte chhukar wo pyari ungliyan zakhm par rakhiye to marham munh mein rakhiye to shakar kitni rahat-bakhsh hain jaanan tumhaari ungliyan hath se suraj ko chhune ki tamanna mat karo mom ka paikar ho gal jaengi sari ungliyan gham ke aangan mein koi mahtab utra hi nahin rah tak kar so gain aakhir kunwari ungliyan taj ka sani bana to dun magar dar hai 'niyaz' phir koi khurram na katwae hamari ungliyan