auqat-e-shaikh go ki sujud o qayam hai mere kane to ek khuda hi ka nam hai har subh uth buton se mujhe ram ram hai zahid teri namaz ko mera salam hai teri nigah ke daur mein aisa hua hun mast saghar se mujh ko aankh milana haram hai hum aur teri shikayaten zalim khuda se dar bohtan hai ghalat hai ye mahz ittiham hai din ko na bhuk hai na mujhe raat ko hai nind is rozgar mein ye meri subh o sham hai marta hun aa ke dekh tere intizar mein warna sunega ab koi dam ko tamam hai qasid kahan chala hai mujhe bhi khabar to de yak dam tu baith ja ki mujhe tujh se kaam hai tujh ko qasam khuda ki jo jata hai us taraf tu bhuliyo na itna hi mera payam hai kahiyo meri taraf se na pahuncha mera jawab itna dimagh kya tera 'hatim' ghulam hai qasid se us ne sun ke haqiqat kaha ki wah kya khub is sukhan ka koi ye maqam hai kahna use yahi tu ki ai bul-hawas hanuz aashiq hua to par ye tera ishq kham hai mashuq ki janab mein koi bhi be-adab bola hai is tarah se jo tera kalam hai