aurat hun magar surat-e-kohsar khadi hun ek sach ke tahaffuz ke liye sab se ladi hun wo mujh se sitaron ka pata puchh raha hai patthar ki tarah jis ki anguthi mein jadi hun alfaz na aawaz na hamraaz na dam-saz ye kaise dorahe pe main khamosh khadi hun is dasht-e-bala mein na samajh khud ko akela main chob ki surat tere kheme mein gadi hun phulon pe barasti hun kabhi surat-e-shabnam badli hui rut mein kabhi sawan ki jhadi hun