awwal aakhir mitti hai har ek paikar mitti hai sar mein shab bhar mitti thi din bhar sar par mitti hai mitti ke hain jazbe sab dil ka daftar mitti hai mera sina khurpi se dekh khurap kar mitti hai sab kuze hain mitti ke har kuza-gar mitti hai ek piyaada mitti ka sara lashkar mitti hai upar tak bhi ja aae kya hai upar mitti hai chanda tare suraj sab har ek manzar mitti hai uth makhmal ke bistar se tera bistar mitti hai main niche hun mitti ke mere upar mitti hai