azm-e-buland jo dil-e-bebak mein raha aks-e-jalil us ka meri khak mein raha mere labon pe dhundte guzri tumhaari umr izhaar-e-gham to dida-e-namnak mein raha chhota sa ek zarra hi wajh-e-hayat hai zauq-e-numu kahan khas-o-khashak mein raha phada hai us ke gham ne gareban ko is tarah bas ek tar daman-e-sad-chaak mein raha 'azar' hai ek tasalsul-e-inkar-o-agahi roz-e-azal se jo mere idrak mein raha