azmat-e-fikr ke andaz ayan bhi honge

azmat-e-fikr ke andaz ayan bhi honge
hum zamane mein subuk hain to garan bhi honge

jin sitaron ko khuda man ke puja tha kabhi
ab unhin par mere qadmon ke nishan bhi honge

kaise rah sakti hain jannat ki fazaen shaffaf
khak udane ko hamin log wahan bhi honge

be-sutun azmat-e-farhad ka mazhar hai to kya
ahl-e-dil kitne hi benam-o-nishan bhi honge

dil kai aur bhi dhadkeenge mere dil ki tarah
apne qisse ba-hadis-e-digaran bhi honge

yun to tazin-e-gul-o-ghuncha mein shamil hain sabhi
hae wo rang jo ab harf-e-khizan bhi honge

jab shaguft-e-gul-e-baadam ki rut aaegi
koete ko nahin bhulenge jahan bhi honge

awwalin did mein hi apni nigahen kho kar
zindagi-bhar teri jaanib nigaran bhi honge

khud-numai ke liye bante ho mazlum 'nasim'
zakhm khae hain to kuchh un ke nishan bhi honge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close